sultan bahu video

First Free Web Which Provide All and Every Thing about Hazrat Sultan Bahu ®


         Free US$

sultan bahoo

هرکه طا لب حق بود من حاضرم     ز ابتدا تا انتها يک د م برم    طا لب بيا طا لب بيا طا لب بيا    تار سانم روز اول با خدا

hazrat sultan bahu books
abyat e bahoo برہانالواسلین  شہبازلا مکاں  سلطان العارفین  سلطان الفقر مرشد حق   سخی سلطان   شہنشاہ   مرشد نورالہدی   حق با ہو   قدس سرہ العزیز
abyat e bahu شہنشاہ دوجہان  محبوب رب العالمین  احمد مجتبی  نوراللہ  محمد مصطفی  صلی اللہ علیہ وسلم  کے نام     سروری قادری سلسلہ محبوب سبحانی حضور غوث اعظم حضرت شیخ سید عبدالقادر جیلانی قدس سرہ العزیز کا اصل سلسلہ طریقت ہے
sultan bahu poetry
sufiana kalam
kalam e bahoo
kalam bahoo
haq bahoo kalam
sakhi sultan
Noorul Khuda Qalan And Risala Roohi Shareef

Author Topic: Noorul Khuda Qalan And Risala Roohi Shareef  (Read 78225 times)

0 Members and 1 Guest are viewing this topic.

Offline NMalik

  • Newbie
  • *
  • Posts: 13
  • Karma: +0/-0
  • Gender: Male
Noorul Khuda Qalan And Risala Roohi Shareef
« on: October 12, 2011, 10:14:36 PM »
Noorul Khuda Qalan Kitaab parhne ke baad mere bohut se batil nazriyaat-o-aqeeday badal chuke hain jabse shaoor bedaar hua hai is muashre main tassawuf aur in anmool topics ke mtaluiq aisi koi kitaab parhi na dekhi aur ye kitaab parh kar hi haqeeqi andaza hota hai ke actually Allah ke faqeer logo aur waliyo ka kia martba hota hai ye mazilain kesi tai hoti hain.

Noorul Khuda Qalan mein Hazrat Sultaan Bahu ne in inmool topics ko na sirf bayaan farma ke balke is kitaab ko batini Taseer de kar hum gafiloon par bohut ahsaan farmaya hai Is book se Aj ke is advance daur main jis main ke Hum loog apni naqis khawishaat ki waja se dunia main ghum hokar ALLAH ki Marifat aur wasaal ke ilam ko mazaaq samjne lage thay un saray muamlaat ko bohut tafseel ke saath bayaan kar diya gaya hai.

Is Kitaab main Murshid ke talib par aur talib ke murshid par haqooq wazeya kiye gaye hain aur murshid naqis ke saath saath talib naqis ki bhi kaafi muzamat ki gai hai Hazrat Sultaan Bahu Likhte Hain Jo murshid talib sadiq ko paanch rooz main ya paanch lamho main ya paacn sanso main paanch gaibi aloom na ata karay to wo murshid naqis hai aur talib agar na farmaan aur be haya hai to wo bhi marifat wasaal aur razdaar banane ke layaq nahi.

Tareeqa Qadri Ki Ahmeyat jesa ke farmay agaya hai ke Qadri tareeqa aftaab ki maand hai aur baaqi taman tareqay is tareeay ke agay chiraag ki maand hai kyun ke tareeqa e qadri main talib ko drood o wazaif aur rayazat main mashgool nahi kiya jata balke baatni tawaja se uski mazilain tai karwa kar usay ahle hazoo kar dia jata hai.

Book main Isme Allah Zaat pe bohut zoor dia gaya hai aur rohaani mehloon ke darwazay ki chaabi ke taur par tashbia di gai hai.Faqeer ke maratib aur Isme Allah zaat se lekar Faqar ki tamamiyat tak paish ane wale halaato mushahidaat ko bhi bayaan kia gaya hai jo ke mere mutabiq is kitaab ke ilawa aur shayad hi kahin mojood ho.

MashALLAH Risala roohi shareef main hazrat sultan bahu farmate hain ke Muje Hazrat Muhaamed SAW ki taraf se fi sabiliLLAH awaam ko talqeen karne ka hukam mila hai to ab Kafir kia,Munafiq Kia,Muslmaan Kia,Gafil Kia Jisay chahon ek nazar main faiz de dun.

Aqle baidaar main bhi bohut umda malomat hain jo hum jese naqis logo ki kaafi rehnumai karti hain main to ye kahun ga ke ab tak mene Hazrat ki jitni kitabain bhi online parhi hain har ek ko dusre se allaa paya hai.Hume in kitaaboon ko waseela pakarh ke Apne emaano ko tazaa aur haq ki taraf mutwaja ho kar zaroz aur laazman faiz hasil karna chahiye jo ke behad hai.

Ye kehna bilkul munasib hoga ke agar In kitaboo ke baray main yahaa mazeed likhne ka khayal rakha jaye to haath likhte likhte thak jaye gay par In kitaboon ki Tashree aur tareef hatam nahi hogi.
« Last Edit: November 04, 2011, 11:53:06 PM by Webmaster »

 

Chat

blogger counters
Take Part in This Noble Cause

fallow
river-insurance
river-insurance
river-insurance
river-insurance