Hazrat Sultan Bahu (r) Forum

Your Question with Replies and Discussion => All questions with replies about Spiritual way discussions and FAQ => Topic started by: Ayaz Shariff Aamiri on June 06, 2019, 09:48:27 PM

Title: Mere Do Aham Sawaal Hain..
Post by: Ayaz Shariff Aamiri on June 06, 2019, 09:48:27 PM
Assalaamu Alaikum,
Mere 2 Sawaal Hain.

Pahla Ye Ke..

Tassawwur Isme Allaahu Zaath Aur Mashqhe Marqhoome Wajoodiya Me Farqh Kya Hai..?
Aur Mashqhe Marqhoome Wajoodiya Ka Sahi Tarikha Kya Hai Kis Tarikhe Se Kiya Jaata Hai..?
Mashqhe Marqhoome Wajoodiya Ke Kayi Naqsh Maine Kayi Kitaabon Me Dekha Aur Padha Hai..
Ek Naye Insaan Yaani Jo Zindagi Me Jo Pahli Baar Jo Shuru Kar Raha Hai Wo Kaunse Naqsh Ka Tasawwur Kare Aur Kis Tarikhe Se Kare..
 { Koi Kitaab Ki Link Ho To Bhi Inayath Farmaayen }

Aur Dusra Sawaal Ye Hai Ke Maine Internet Se Hazrath Muhammad N***************b Ki Kitaab " Ha***********Zaath " Download Ki..
Aur Uska Bhi Mutaalia Kiya Hai..

Us Kitaab Ke Safa No 62 Me Hazrath Likhte Hain Ke.

" Tasawwur Ke Baghair Zikr Asar Nahi Karta Aur Zikr Ke Baghair Tasawwur Asar Nahi Karta.
Phir Mashqhe Marqhoome Wajoodiya Ke Baghair Zikr Aur Tasawwur Asar Nahi Karte.
Aur Isme Allaahu Zaath Jism Me Qharaar Nahi Pakadta..
Isme Allaahu Zaath Ka Tasawwur Bhi Khaalis Sone Se Bane Huye Isme Allaahu Zaath Se Kiya Jaata Hai.
Naqhli Taur Par Bane Huye Ya Chape Huye Isme Allaahu Zaath Se Tasawwur Karne Se Isme Allaahu Zaath Dil Par Naqhsh Nahi Hota Aur Qharaar Nahi Pakadta.. "

Ye Ibarath Us Kitaab Ki Hai..

Isme Do Baaten Hain..
Ek Ye Ke Baghair Mashqhe Marqhoome Wajoodiya Ke Tasawwur Isme Allaahu Zaath Asar Nahi Karta..

Aur Dusri Baath Ye Ke  Kaalis Sone Se Bane Isme Allaahu Zaath Se Tasawwur Karna Chaahiye..

Ye Do Baaten Bhi Mujhe Samajme Nahi Aayin..
Please Mujhe In Sawaalon Ke Tasalli Baksh Jawaab Den.
Shukriya Jazakallaahu Khaira.
Title: Re: Mere Do Aham Sawaal Hain..
Post by: Webmaster on October 27, 2020, 07:05:49 PM
1. both are same
2. jab tasver kia jata ha ziker bi sath kia jata ha

Tasavver kia sahi trika hamari web per ha wo hi karen https://urdu.hazratsultanbahu.com/urdu/books-taz-1-Tasavver%20Asmi%20Allah%20Zat.php
river-insurance
river-insurance
river-insurance
river-insurance